Total Pageviews

Saturday, May 25, 2013

YAAD AAUNGA

Aaina Saamne Rakho Ge To Yaad Aaonga
Apni Zulfon Ko Sanwaaro Ge To Yaad Aaonga
Bhool Jana Mujhe Aasan Nahi Hai Itna
Jab Mujhe Bhoolna Chaaho Ge To Yaad Aaonga
Ek Din Bheege The Barsaat Mein, Hum Tum, Dono
Ab Jo Barsaat Mein Bheego Ge To Yaad Aaonga
Yaad Aaonga Udaasi Ki Jo Rut Aaegi
Jab Koi Jashn Manaao Ge To Yaad Aaonga..
Humne khushiyon ki trah dukh bhee ikathe dekhe hain,
Yaadon ke panno ko dohraoge to yaad aaoonga.
khane ke khusboo se jaayako tak
haathon se khilaye neewale par yaad aaoonga.
sard mausam mein baahon kee garamahat pe yaad aaoonga..

juda na khud se paaoge humein waqt dar waqt jo yaad aaaoonga..

No comments:

Post a Comment