Maine maut ko karib se dekha..
Maine maut
ko karib se dekha.
Kafan mein
lipte,Tan jalte apne sharer ko dekha,
Khare they
log haath bandhe ek kataar mein ,
Kuch they
pareshaan, kuch udaas they,
Kuch chupa
rahe apni muskaan they,
Dur khara
dekh raha tha main yeh saara manjar,
Tabhi kisi
ne haath badha kar mere haath thaam liye,
Haath
thaamne wala koi aur nahi mera bhagwaan tha,
Chehre par
uske muskaan aur nange pau tha,
Jab dekha
ushki taraf jigyasa bhari nazroon se,
Toh hash
kar bola, tune do ghari japa mera naam tha,
Aaj pyaare
apna karz chukane aaya hu,
Ro diya
main apni bewakoofiyon par tab yeh soch kar,
Jisko do
ghari japa, wo bachane aaye hain,
Aur jinmein
har ghari rama raha,
wo
shamshaan pahuchane aaye hai,
tabhi khuli
meri aankh bistar par viraajmaan tha,

No comments:
Post a Comment